Waqt-E-RuKhsat Kaheen Taaray Kaheen Jugnu Aaye




Waqt-E-RuKhsat kaheen taaray kaheen jugnu aaye
Haar pehnanay mujhe phool say baazu aaye


Bas gayi hai meray ehsaas mein yeh kaisi mahek
koi Khushbuu main lagaaoon teri Khushbu aaye


Main nay din raat Khuda say yeh dua maangi thi
Koi aahat na ho dar pay meray aur tu aaye


Us ki baatein kay gul-o-laala pay shabnam barsay
Sab ko apnaanay ka us shouKh ko jaadu aaye


In dinon aap ka aalam bhi ajab aalam hai
ShouKh khaaya hua jaisay koi aahu aaye


Us nay chu kar mujhe patthar say phir insaan kiya
Muddaton baad meri aankh mein aansoo aaye

Leave a Comment