Rukh HawaoN Ka Badalta Hee Gaya




Rukh HawaoN Ka Badalta Hee Gaya
Pyaar Jub Dil Mein Utarta Hee Gaya


Jab Saba Ne Kia Izhaar-e-Wafa
Phool Chup Chaap Bikharta Hee Gaya


Aag Bujhnay Lagi Jab Seenay Ki
Tou DhuwaaN Aankh Mein Bharta Hee Gaya


Aap Ne Sirf Maseehayi Ki


Dard Ik Yun Had Se Guzarta Hee Gaya


Jis Ne Bhee Maanga Mohabbat Ka Sila
Dil Ko HaathoN Se Wo Malta Hee Gaya


Koi TofaaN Tou Aaya Hee Nahee
Sheher-e-JaaN Phir Bhee Ujarta Hee Gaya


Jis Ne Bhee Ishq Ki RaahoN Ko Chuna…….
Dasht Aabaad Wo Karta Hee Gaya………!

Leave a Comment