~* MEHNDI *~
Baray Masoom Jazbon Se . .
Wo Apnay Shokh Haathon par . .
Wafa ki Surkh Mehndi Se . .
Usi ka Naam Likhti Hai . .
Jisay wo Pyaar karti Hai . .
Magr wo Na Smajh Larki . .Abi Tak Ye Nhi
Samjhi . .
Ke . .
Sapnay Toot Jaayain To . .Bohat Barbaad kartay Hain . .
Ye ujlay Rang Haathon Par . .
Kabhi Thehra Nahi karte . .Mohabbat To Haqeeqat Hai . .
Koi Sapna Nahi
Hota . .
Kisi ka Naam Likhnay Se . .Koi Apna Nhi HoTa.
This entry was posted on Friday, 21 September 2012 at 04:56. You can follow any responses to this entry through the RSS 2.0 feed. You can leave a response.

