Iss Dard Ki Dunya Se Guzar Kyun Nahi Jaate




Iss dard ki dunya se guzar kyun nahi jaate
Yeh log bhi kya log hain marr kyun nahi jaate


Hai koun zaamane mein mera poochne waala,
Nadaan hai jo kehte hain keh ghar kyun nahi jaate


Sholey hain tau kyun inn ko bharkte nahi dekha,
Hain khaak tau raahon mein bikhar kyun nahi jaate


Aansoo bhi hain aankhon mein duayein bhi hain labb per,
Bigrey huwe halaat sanwar kyun nahi jaate.

Leave a Comment