Pyar Mein Log Bohat Mazboot Ho Jate Hain Aur Bohat Kamzor Bhi,
Mazboot Itne Ke Duniya Se Larh Jate Hain,
Aur Kamzor Itne Ke Sirf Ek Insan Ke Bina Jee Nahi Paatey.......

Jab Kabhi Jee Mein Aaye To Aazma Lena Humari Mohabbat Ko,
Lahoo Bhi Dain Ge Chiraghon Mein Jalane Ke Liye.

Paas Wo Itna Tha Jese DiL 0r Dharkan,
Dekha To Hum Dono Mein Faasla Bhi Bohat Tha,
Milne Ki Tarha Hum Mil Na Paye Thay Kabhi,
Mera 0r Uska Rabta Bhi Bohat Tha,
Itne Arse Mein Bhi Usay Mujh Par Aitbar Na Aaya,
Ye Sach Hai Wo Mujhe Janta Bhi Bohat Tha,
Wo Mil Kar Bhi Na Mil Saka Ye Muqaddar Ki Baat Hai,
Main Ne Duaon Mein Usay Manga Bhi Bohat Tha,
Ruswai Ke Dar Se Wo Rakh Na Saka Muhabbat Ka Bharam,
Lekin Ye Sach Hai Ke Hum Ne Usay Chaha Bhi Bohat Tha...

فطرت آدم میں جب محبت کم پڑ جاۓ
پھر چاہ کے بھی اپنوں کے لیے وقت نہیں ملتا۔

Fitrat-e-Aadam Mein Jab Mohabbat Kam Par Jaye,
Phir Chah Ke Bhi Apno Ke Liye Waqt Nahi Milta..۔


Ek Neend Hi Dushman Hai Mere Qalb-o-Qaraar Ki,
Aati Nahi Hai Dair Tak Mere Yaar Ki Tarha......


Ishq Hara Hai To DIl Thaam Ke Bethay Kyun Ho,
Tum To Har Baat Pe Kahte The Koi Baat Nahi


Wafa mein ab ye hunar ikhteyaar karna hai,
wo such kahay na kahay aitbaar karna hai,

ye tujh ko jaagtay rehne ka shoq kab se huwa?
mujhe to khair tera intezar karna hai